Maut ek kataaksh hai..
Maut ek kataaksh hai..
aadmi ki badhti hui abhilashao par,
dekh kar jeete hue sapno par,
adhure soye hue vyaktiav pa....
Maut ek thahrav hai..
tez raftar se bhagti girti jindagi par,
bebas se thake hue kamjor insaan par,
thake hafte kampte tute insaan par...
Maut ek bhay hai...
mange hue hisse par,
milte hue dhan par,
chitkarte, bilkhate hue insaan par...
Maut ek saza hai..
jivan se bhare hanste khelte shishu par,
sunder sapne se jage hue yuvak par,
khushio se bhare budhe par..
Maut ek lakshya hai..
jiwan ke baad satya janane wale par,
sab ichchao se puran hone par,
aage badhkar gale lagane wale betab par,
aur satya ki pratiksha me vyakul par....
Maut ek kataaksh hai..
' arun' ki badhti hui abhilashao par,
dekh kar jeete hue sapno par,
adhure soye hue vyaktiav pa...
No comments:
Post a Comment