Sunday, April 19, 2015

Yatra

Yatra

9 July 2013 at 19:07

Aaj main jaldi uth gaya,
aisa nahi ki main sari raat soya nahin,
par aisa bhi nahi  hua  ki main
kisi pal subah ki pratiksha na kar raha..

Uth kar sabse pahle maine,
apne saathi ko dekha..
wo bhi shayad raat bhar soi
nahi tabhi nidra ne muh-andhere
hi use daboch liya..

Samne lage shishe me
apne aks jo ek hi raat me
mera na raha
khud ko dekhte hi
ganga-jamuna se
bhar gaya..

Maine apni dabi hui chitkar
ko aur dabaya par
kambakhat na jaane
kaise besudh hokar ujagar
ho gai aur mujhe bi
nanga kar gai..

Sharm ke maare " arun"
main uth kar ' Bath-Room'
me aa gaya lekin mera chhupna - chhupana
bhi bekar gaya..

Sathi ne meri pee(d)ra
ko pakad liya aur apni
pee(d)ra se use
vyakat kiya...

Ankhon me chhitte marta
muh me kulla bharte hue
toliye ko jab maine kheecha
to use bhi bhi geela-geela paya
lagta hai raat bhar
se wo bhi soya nahi aur vyarth
me hi mu-andhere geela hi raha...

bahar nikal kar deewaron
ki taraf yuhi dekha,
peelepan ki jard me
lipti hui mere khokhalepan
ki tarf ingit kar gai,
khali si chhat bhi jaise
sar par mere aa tiki
pankhe ki khad-khad me udasi jaise jeet gai
aise mahol ki neerasta mujhe das gai..

Kuchh log baithe the
aur kuchh log aa gaye aur
beech me mera beta
jamin par so raha jaise
abhi uth kar muskareyga,
sirhane par jalta hua dia
jaise jiwan ki aag ko
byan kar gaya...

Ek aah si bhar kar
apne anshuao ko peekar
apne sathi ko kandhe lagakar
uske dukh ki anubhuti se apne
dukh ko jala kar nikal pada
main apne bete ko anant yatra
par bhejne ke liye jahan se
aage ab na koi uska chhor hoga
aur nahi mera...

Kal tak jise ungali pakad kar
chalna sikhaya
kal tak jise apne budhape ka sahara
samajh kar jiya
aaj wahi mera apna mere kandhe
par uth kar mujh se pahle aage chala
kabhi na wapas aane ke liye...

Al-vida beta, tera aur mera
ye fasla ab kabhi kam
na hoga aur tu ek
sach ki tarah meri jindagi se
kabhi gum na hoga..

No comments: