The true companion (Hindi poetry)
Maut ke har nazariey ko maine dekha phalte phoolte..
tabhi ye hai bani adbhut, anant
aur amritmay satya..
agar " arun" isse janana hai to
niklo kup se bahar khule pan
ki taraf jahan ye hogi bhay rahit
sandeh rahit aur aage badh kar
chum lo isse jab ye hath badha kar kahe
ki meri pratiksha hai vyarth,
main to sath hu hamesha tere jaise
din-raat, subah-shaam, sard-garam, shuksh-dravit
aur atma-paramtama
tabhi payega mujhe adhbhut, anant
aur kewal satya ......
No comments:
Post a Comment